Monday, March 23, 2009

tu be nahi

Lagzishon ko manta tu be nahi main b nahi,

Dono insan hain khuda tu b nahi main be nahi,

Too mujay aur main tujay ilzam daitay hain, magar,

Apnay andar jhankta tu b nahi main be nahi,

Maslehat nay kar dia dono main paida ikhtlaaf,

warna fitrat ka bura tu b nahi main be nahi,

Mukhtalif simto main dono ka safar jari raha,

ik lamhay ko roka tu b nai main b nai,

Chahty dono bohat aik dosray ko hain mgar,

Ye haqiqat

manta tu bhi nahi

main b nahi.

No comments:

Post a Comment